How








how to save phone battery

how to save phone battery

how to save phone battery


how to save phone battery


 Dosto aaj me aap ko batane ja raha hun apne mobile ke battery life ko keise badahen. Mobile me battery ka bahut bada bhumika rahta hai. Isliye dosto aap mobile ka jitna dhyan rakhte hai, mobile ke battery ka bhi utna hi dhyan rakhna chahiye. Kuchh galtiya hum anjane me bhi karte hai jo mobile ke battery ko damage karta hai aur kuchh galtiya hum jan-bujhkar bhi karte hai. To dosto aaj me aap ko yah batane wala hun ki aap ko mobile ke satah kya karna chahiye aur kya nehi karna chahiye.

   Puri tarah discharge na hone den.

  Sab se jada galti yah karte hai ki puri taraha se discharge hone ke bad hi charge me lagate hai. Dosto apne battery ko puri tarah se discharge hone tak istemal na kare. Ha ek mahine me ek bar eisa karna chahiye lekin agar daily aap eisa karte hai to battery ke upar kharap prabhab padta hai. Aur dosto kabhi bhi 100% charge na Karen. Ha ya bhi aap mahine me ek bar karna chahiye, full charge. Dosto apna battery 15% niche jane se pehle charge me lagayen aur 95% se upar jane se pehle charge se nikal den. Is se aap ka battery ka life badhega aur jaldi battery kharap nehi hoga.

  Kabhi bhi raat ko charge me laga kar na chhoden.

 Kai log yah galti karte hai ke raat ko charge me laga kar so jate hai. Dosto is se battery jaldi kharap hone ka chance badh jata hai. Aaj kal mobile ke sath fast charger aane laga hai to agar aap fast charger ka istemal karte ho to, dhyan rakhe ki charge me laga kar kabhi bhi na so jayen. Yah galti aap ke mobile ke battery ko jaldi kharap kar sakti hai.

  Charge me laga kar mobile ko istemal na kare. 

Bahut se logo ka yah addat hota hai ki wah chargin me laga kar game khelte hai. Yah galti battery ko bahut jaldi damage kar sakta hai. Chage me lagakar jab aap mobile ko istemal karte hai to dekhenge ke mobile jada garam ho jata hai. Jab mobile jada garam hota hai to, battery ke upar sidha asar padta hai aur battery damage hone ka chance bhi jada haota hai.

  Charging karte waqt mobile ko khula rakhen. 

Dosto khula rakhne ka matlab yah nehi ke mobile ko khol den. Kehane ka matlab yah hai ki mobile me jo extra cover laga kar rahte hai use khol den. Charging karte waqt mobile ke upar khuchh bhi na rakhen ya mobile ko kisi chij se na dhake. Charging karte waqt mobile khule me rahega to jaldi garam nehi hoga aur safe rahega.

  Apne hi original charger se charge kare.

 Kuchh log kya karte hai ki ghar me 3 ya 4 mobile hai to, jab bhi jo bhi charger mila usko istemal kar dete hai. Dosto yah bhi ek bahut bada galti hai. Sabhi charger ka out put alag alag wat ka hota hai, isliye aap ke mobile ke battery jise support karta hai us charger ko hi istemal Karen. Matlab us mobile ka original charger ka hi istemal kare.

  Computer me bhi kabhi mobile ko charge ma na lagaye. Aur agar aap power bank ka istemal karte hai to dhyan rakhen ki power bank original ho aur achhi company ka ho.

   Background me application ko na chalne den.

 Dosto un application ko background me na chalne den jis application ko aap bar bar istemal nehi karte hai. Koi bhi application ko istemal karne ke bad kai log kya karte hai ki, home button ko daba kar bahar nikal jate hai. Is se kya hota hai ki wah application background me run karta rahta hai. To aap setting me ja kar un application ko band kar sakte hai jiski aap ko abhi jarurat nehi hai. Khas kar ke third party application ka dhyan rakhen jo background me run karte rahte hai aur aap ke mobile ka battery ko damage karte hai.
how to save phone battery

how to save phone battery


  To dosto isi tarah apne battery ka khayal rakhen air Lambe samay tak apna battery ko chalayen. Aur safe rahe.
Isse bhi padhe:- best mid range phones

Health keliye yahan visit kare:- desi upchar

No comments:

Powered by Blogger.